JEE SAKTA THA......

pohncha jo ladakpan se jawani main
jawani to abhi dekhi hi na thi
jo na chenty jawani to main jawani g sakta tha.....


abhi to thi masomiyat dil main bhari
jo na nochty dil mera to main g sakta tha.....


maa chupati apny anchal main kab tak?
eik din to mrna hi tha magar ....
us din tak to main g sakta tha......


chorahy pe khara kar k to zani ko b nahi mary jaty pathar aj kal
phir main to be-qasur tha,
jo na dety zani se b badtar saza mujhy to main g sakta tha...


janwar ko b taklef main dekh kar dil laraz uthta ha
phir main to insan tha, koi rokta aa kar usy, to main g sakta tha....


kisi apny par nainsafi hoti dekh kar har koi usy insaaf dilany bhagta ha
dilata mujhy b koi apna smajh k insaaf to main g sakta tha......

_________________________________


sialkot main rahny waly un 2 bhayon ki awaz jinhain begar kisi waja k tashadud kar k maar diya gaya.........



(INALILAH HY WA INNAH ILYE HY RAJEOOON)
http://www.youtube.com/watch?v=1ZqOTIMPNh8&feature=related

http://www.youtube.com/watch?v=J3a6wxlpLAI&feature=related
http://www.youtube.com/watch?v=kevjsGsUuqw&NR=1